Chhole Bhature
Ingredients:-
For chhole:-
Kabuli Chane 125 gm (boiled)
Onions 2-3 finally chopped
2 tamatar
2 Hari Mirch
Lehsun 5-7 Kali
1 tsp grated adrak
Salt to taste
Red chilli powder
Dhaniya powder 1 tsp
Garam masala
Kasuri methi
Chhole masala 2 tsp
Hara dhaniya
Method:-
Tamatar, hari mirch, Mirch, adrak n lehsun ko paste bana le. Cooker me oil garam kare. Pyaj daal kar light brown hone tak bhune. Isme sabhi dry masale aur chhole masala dale. Tamatar wala paste daal kar achhe se oil separate hone tak bhune. Ab uble hue chane daale. Achhe Se mix kare. Uble hue chane ka pani aur jarurat anusar pani dale. Kasuri methi sprinkle kare. Aur dhakkan laga kar 5 mins low flame pe pakaye. Serve karte samay haradhaniya aur garam masala sprinkle kare.
For Bhatura
Ingredients
Maida 4 cup
Salt to taste
Baking soda 1 tsp
Dahi 2-3 tsp
Cheeni 1 tsp
Oil 2-3 tsp
Oil for fry
Warm water aata gunthne k liye
Method
Kisi bade bowl me Maida aur namak chhan le. Maide k bich me gaddha (hole) banaye usme dahi, cheeni, soda aur oil daal k mix kare. Gungune pani ki help se roti jaisa aata gunth le. Hatheli pe thoda sa aur oil le aur aate ko acche Se 8-10 minutes tak gunthe. Jab tak ki aaya chikna Naa ho jaye. Aate ko finger se press karenge to aata apne aap upar uthega. Iska MATLAB h ki aapka aata sahi bana h.
Is aate ko geele kapde Se dhak kar kisi garam jagah pe 2 hrs k liye rakh de. 2 hrs baad aata ful jayega. Taiyar aate me se chhote amrud size k gole lekar patla bel le. Aur ekdum garam oil dono taraf Se brown hone tak fry kare.
Aapke garma garam chhole bhature ready h. :-)
No comments:
Post a Comment